Best Hair Fall Treatment In Hindi Urdu 2018
Best Hair Fall Treatment In Hindi Urdu 2018: Hi friends I am dilkash welcome to dilkash beauty tips in Urdu and Hindi language kafi time se loog poch rahe hain ke men hair fall Treatment ke bare mai baten ke hum hair fall ko theek kaise Karen? kuch logo ke hair thin hote hain wo bhi yahe pochte hain ke hum apne hairs ko kaise theek Karen? To aaj hum Best Hair Fall Treatment In Hindi topic cover karen gay.
Best Hair Fall Treatment In Hindi
To baat karte hain hair fall treatment ki but is se pahle aap ko aik cheez samajna bohat he zarori hai normally hair tootna or hair fall hone dono bohat hi alag cheezain hain agar aap apne baalon me kanga karte hain ya hath marte hain or aap ke 2 3 baal toot ke aap ke hathon pe aate hain to yeh bilkul normal hai kiyon ke hamary baal daily bases pe jharte hain lakin agar aap apne baalon me hath marte ho ya kanga karte ho or aap ke hath me 6 7 ya 8 baal toot ke aate hain to yeh hota hai hair fall jis se thora thora ganja pan aane lag jata hai sar ki side se baal kam hona shuru ho jate hai is liye hum aap ke liye hair fall treatment ka yeh article ley kar aay hain.
Jab kisi ko hair fall start hota hai to wo ya to egg lagata hai apne baalon mai ya wo massage karwata hai ya tarha tarha ke shampoo use karna shuru karta hai but aik baat yaad rakhain in sab cheezon ko use kar ke bhi aap ko koi farq nahi pary ga agar aap ka nutrition theek nahi hoga kiyon ke yeh sab totkay karna koi hair fall treatment nahi hai. Agar aap apni body ko wo nutraition ni dy rahy jo aap ki body ko chaey to phir aap kitny hi shampoo use kar lo egg ya oil use kar lo aap ko 1 % bhi farq nahi parny wala.
Best Hair Fall Treatment In Hindi Urdu 2018
To ab baat karte hai nutrition ki jo aap apni body ko daily bases pe provide karo gy to apki hair fall se related ha ya hair se related jo hi problems hain wo khatam ho jain gi pahli cheez jo apki body ki lia bohat hi zarori hai wo hai aap ka protein. Protein mai hoty hain protein potential amino acids agar hum Pakistan ki baat Karen to Pakistan mai loog carbohydrates bohat zyada consume karte hain carbohydrates rooti mai chawal mai Pakistani food yahi use karte hain loog or protein available hai eggs mai chicken mai or paneer mai in cheezon me totally protein hai or yeh cheezain mostly Pakistan me loog use nahi karte to is se problem yeh hoti hai ke protein me hoty hain potential amino acids yeh hamari skin plus scalp ko healthy rakhne ke lia bohat hi zarori hain or aap is baat per bhi goor kijiye ga ke jo skin ka doctor hota hai aksar woe hairs ka doctor bhi hota hai or hair fall treatment bhi karta hai kiyon ke hairs me jo scalp hai wo bhi skin hi hoti hai agar aap protein wali cheezain use nahi karte daily bases per to aap ki scalp kamzor ho jaygi phir jab bhi aap apne baalon me hath maro gy kanga karo gy to bohat sary baal toot kar aain gy aap ke hathon mai aap ko sab se pahle apni scalp ko mazboot karna hai jis ke lia protein wali cheezain use karna aap ke liye bohat hi zarori hai
Best Hair Fall Treatment In Hindi With Omega 3
To ab baat karte hain dusri cheez ki jo hai omega 3
Omega 3 ke bare me logo ko pata nahi hai ke omega 3 kia hai or kis kis cheez pe paya jata hai to pahle hum wo bata date hain aap ko omega 3 fish, eggs or dry farut in sb cheezon me omega 3 paya jata hai basically omega 3 ki kami ki waja se logo ki scalp khushk kamzor hoti hai unki scalp me har wqt khujli hoti rahti hai omega 3 hamari height ko or hamari skin ko bohat healthy rakhta hai jab hamari skin ki baat aati hai to sath hi hamari scalp ki baat bhi aati hai jis insan ki scalp kamzor hai wo daily bases pe omega 3 use karna start kar de us ki problem khatam ho jaygi apki dry ness bhi khatam ho jaygi or hair fall ki problem bhi khatam ho jaygi
Best Hair Fall Treatment In Hindi Urdu With Iron
Ab baat karte hain teesri or last cheez ki jo iron jis ki kami ki waja se aap ke baal jharte hain
Agar aap ki body me iron ki kami hai to apke baal jhar jain gy phir bhaly aap protein use karo ya omega 3 use karo but apke baal zaror jharain gy koi farq nahi pary ga iron aap ko kis kis cheez me milta hai ??? jo bhi non vegi food hain egg, chicken, meet, fish in sb me iron bhara para hai or jo loog vegetarian hain un ke lia sab se acha source hai palak agar aap yeh sab use karte hain to aap ki iron ki kami puri ho jygi or agar aap yeh teeno cheezain laty hain protein, omega 3, iron to aap ki hair se related jo bhi problems hain wo khatam ho jaygi.
Also Read: skin whitening remedies at home
Also Read: Top 3 Best Home Remedies For Pink Lips In 15 Days
So Friends aap ko kaisi lagi hamari aaj ki tips jo ke thi "Hair Fall Treatment In Hindi" is ke bare me aap hamain comment kar ke zaror bataye ga.
Also Read: Top 3 Best Home Remedies For Pink Lips In 15 Days
So Friends aap ko kaisi lagi hamari aaj ki tips jo ke thi "Hair Fall Treatment In Hindi" is ke bare me aap hamain comment kar ke zaror bataye ga.
0 Comments