Hair Loss Treatment In Urdu Hindi Language By Dilkash Beauty Tips

Hair Loss Treatment In Urdu Hindi Language By Dilkash Beauty Tips

Hair Loss Treatment


Main hoon dilkash or welcome karti hoon Aap sab ko dilkash beauty tips blog mai dosto aaj ka hamara topic hai "Hair Loss Treatment" aksar aaj kal bhag door wali zindagi mai hamare baal kharab ho jaty hain. Or humain apne baalon ki proper care karne ka time bhi nahi mil pata is waja se hamare baal rukhy or kamzor ho jate hain or hamare baal choti hi umar mai jharne lagte hain aaj ke is topic mai main aap ko kuch aise gharelu totkay bataon gi jis se aap ki baalon ki problems khatam ho jain gi to shuru karte hain aaj ki hamari first tip hai Neem.

Hair Loss Treatment With Neem


Neem ki patiyaan aap ke baalon or aap ki skin dono ke lia hi kafi achi hoti hain agar aap apne girte baalon se pershan ho gay hain to aise mai aap ko neem ki patiyoon ka istmal karna chaey Neem ki patiyaan aik Best Hair Loss Treatment hai. Neem ki patiyoon ke ander aik aisa antiseptic acid hota hai jo aap ke baalon ko jharne se rokta hai to aap bhi tazi neem ki patiyoon ko le kar inko garam pani mai ubalne ke lia rakh dain jab wo pani ache se ubal jay or patiyaan apna hara rang chor dain to is pani se apne baalon ko wash kar lijeye agar aap is ka istmal 1 hafty tak karain gy to aap ki Hair Treatment Loss yani baalon ke girne ki problem solve ho jaygi. Kiyon ke neem main aik khas baat yeh hoti hai ke neem ke ajza aap ke baalon ki jar tak pohanch kar ache se sama jati hai.

Hair Loss Treatment With Amla


Amla ka istmal oratain sadiyon se apne baalon or skin ko khubsuraat banane ke liye kar rahi hain or yeh Hair Loss ka best Treatment bhi hai to agar aap bhi apne baalon ke jharne ki problem se pershan aa gay hain to aise mai aap ko amla ka istmal karna chaey. Aap 3 se 4 amla ly kar usko nariyal ke tail me ubal lain tail me ubalne se nariyal tail or amla ache se mix ho jata hai ab is ko aap rooz 2 baar apne baalon me lagain amla aap ke baalon ki jaroon tak pohanch jata hai or aap ke baalon ki jaroon ko strong banata hai to agar aap ke baal bhi choti umar mai girne laga hain to yeh ubay karna kafi acha rahy ga yeh bohat acha Hair Loss Treatment sabit hoga aap ke liye.

Hair Treatment With Piyaz


Piyaz ke andar selfer ki miqdaar zayada hoti hai to jab aap ke baal girne lagain to aap ko piyaz ka istmal karna chahy yeh bhi bohat acha "Hair Loss Treatment" hai. Aik choti piyaz ka tukra lay lain or isko pees lain phir jo iska paste bany ga isko aap apne baalon mai ache se laga lain rozana nahany se pahly isko lagane se aap ke baal girne ki problem solve ho jati hai piyaz ke ander jo ajza hote hain wo aap ke baalon ko strong karte hain.

Hair Loss Treatment With Lahsun


Hair Loss Treatment In Urdu Hindi Language


Piyaz ki tarha lahsun mai bhi selfer ki miqdaar kafi zayada hoti hai or isko bhi Hair Loss Treatment ke lia use kia jata hai agar aap apne baalon ko ly kar pershan hain to aap ko lahsun ka use karna chahy 3 se 4 lahsun ki kaliya lay kar inko nariyal tail me mix kar lain or phir pani mai lahsun nariyal tail or pani ko ache se ubal lain 15 mints aik ko ubalny ke baad isko thanda hone dain nahane se pahle isko baalon mai achi tarha lagane se baal kafi strong ho jate hain or baalon mai jo dandruff hota hai wo bhi khatam ho jata hai.

Hair Loss Treatment with Diet


Hamari diet bhi Hair Loss Treatment mai bohat ahamiyat rakhti hai jo loog apni diet ka khayal nahi karte unke sath Hair Loss jaisi problems zayada dakhne ko milti hain aap ko khany mai aise fruit or vegetables khani chaey jis se aap ki body healthy rahy to agar aap ke baal bhi girte hain to aise mai aap ko green vegetables juice jaisi cheezon ka istmal zayada karna chaey or dairy products jaise ke doodh dahi ka istmal bhi zayada karna chaey aisa karne se bhi aap ke baal girne ki problem solve ho jaygi.

Umeed hai aap ko yeh Hair Loss Treatment ka article pasand aya hoga to agar aap ko yeh article pasand aya hai to humain comment kar ke zaror bataye ga.

Post a Comment

0 Comments