Skin Whitening Remedies At Home By Dilkash Beauty Tips In Urdu Hindi
skin whitening remedies at home: As salam o alaikum main dilkash aap ko dilkash beauty tips me welcame kahti hon or umeed karty hain ke aap sab loog Allah Paak ki rahmat se khariat se honge chahy aap house wife hon student hon ya job karne wali person hon aap aik khoobsurat chahre ki talabgaar nazar aati hain kiyon ke khoobsurat chahra dusron ko mutasir karta hy qudarti toor per haseen hona Allah Paak ki inayat hai Allah ne is kainaat me aisi cheezain bnai hain jin ko istmal me laty huy husaan o khoobsorati ho mazeed barhaya ja sakta hai qudarti khasoosiyaat se mala maal yeh ajza hazaron rupees ki beauty products se karoor guna bahtar hain aaj hum aap ko aik amazing nuskha baten ge jis se aap ko mily gi gori rangar or be misal khubsurati. Aap ko yeh nuskha 3 se 5 mint tak apne face per aplay karna hai or iska result itna shandaar ayga ke aap khud dakh kr heran rah jain ge.
Ajza
Apko chaey Lemon ka fresh juise half chai ka chamach or kacha doodh aik khane ka chamach.
Tarika istmal
Aik cup me lemon ka fresh juice or kacha doodh dalain doodh lemon juice me mix hoty he phaat jayga jb doodh phaat jay to ab is aameez ko achi tarha kisi chamach se mix karen or chahre per lagen sirf 3 se 5 mints tak laga rahne dain iske baad cotton se chahre ko saaf kar lain yeh amal din me 2 baar karna hy subah or sham.
Lemon me stric acid or vitamic C kafi zyada paya jata hai yeh qudarti toor per chahre ko bleech kar ke daag dabon ko door karta hai or skin ko pimples se bhi bachata hai Doodh ko beauty drink kaha jata hai is me caltioum or proteen kafi zyada miqdaar me mojood hota hai yeh hadiyon ko mazboot bana kar jism ko taqat or tawanai data hai kacha doodh rang gora kar ke skin soft bnata hai Aap ne yeh amal karne ke baad kam az kam 2 ganty tak sabon ya face wash use nahi karna or hafte sirf 2 din yeh amal karna hai
Yeh amaizing totka mera apna azmaya hua hai or main isko use karti rahti hon yeh totka apki skin ko doodh jaisa gora bana de ga aap ko koi cream ya lotion use karne ki zarorat bhi nahi rahe gi bazari creams ki jaga real milk se apni skin ki hifazat karen or pur kashish gora or haseen chahra pain
Agar aap ko yeh information pasand aai hy to aap isko apne doston ke sath share karen Or agar aap ko kisi specific hawale se koi beauty tip chaey to aap humain niche comment box main comment kar ke poch sakte hain.
0 Comments