Beauty Tips For Face At Home In Urdu Hindi
Beauty Tips For Face At Home In Urdu Hindi: Aoa Friends! main Dilkash Welcame Karti Hon or umeed karti hon aap log theek hon gy. aaj ka Hamara topic hai Beauty Tips For Face At Home In Urdu Hindi. Aaj hum aap ko batain gy ke Kaise ap Apni skin ko white rakh sakty hain Beauty tips ki madad se or kaise ap apni skin ka treatment kar sakte hain apne ghar per hi rahte huy. Wrinkles, jhuriyan, fine lines, aging signs agar 30 years ke baad zahir hona shuru hon to shayad kisi had tak Kabil-a-Kabool hoty hain lakin 30 years se pahly yh wrinkles apki tawaja ka fukdan naqis khurak sun exposure se zyada direct contact me rahne ko zahir karte hain. To aaj main aap ko aik asaan or simple Beauty tip batane ja rahi hon for your face. jis ke istmal se na sirf aap ki jhuriyan bohat jald khatam hongi balke yeh aap ke rang ko gora karne ke sath sath aik shandaar glow bhi apki skin per lay ga chalain isko banana shuru karte hain.
Beauty Tips For Face At Home Ka Tarika Istmat
1:- Isko banane ke liye humain chaey sab se pahly aik anda (egg) is egg ko toor kar iski sufaidi nikal lani hai or zardi istmal nahi karni andy ki sufaidi wrinkles ko ko smooth karne ke lia bohat mufeed hai andy ki sufaidi mai vitamin A paya jata hai jo wrinkles ke lia bohat baneficial hota hai.
2:- Dusri cheez hum is me milain gy piyaz aik chamach pyaz ka rus hum is me milain gy pyaz mai aik element bohat bari mikdaar me paya jata hai jisko quistin kahte hain kia aap yakeen karain gy ??? This is the Most Powerful anti-oxidant iska ragulerly istmal app ki skin ko wrinkles free bhi banay ga or sath he aap ko youth full look bhi dega.
3:- Ab is me add karain gy half chamach shahad (Honey). Agar kisi ko honey raas nahi ata ya usy honey se koi problem hai to wo iska alternate kacha doodh ya milk powder bhi use kar sakta hai.
4:- Last cheez hai daliya jo hum is me mix karain gy isko achi tarha pees kar powder bana lain or shamil kar lain aik chamach. Ab in cheezon ko ache se mix kar lain or apne face ko wash kar lain ab isko apne face per aplay karain or dry hone tak aplay karain jaise jaise dry hoga aap ko skin per aik tight ness feel hogi. jb tight ness feel honi shuru ho jay to kisi se baat mat karain or na he hansain warna iska effect nahi hoga. jab ache se dry ho jay to sada pani se apna face wash kar lain iske pahle baar use se hi aap ko results nazar aain gy apki skin me kafi change hoga aik hi dafa ke istmal se apki skin kafi tight ho jay gi or wrinkles bhi kafi had tak kam ho jain gy or apko mily gi tight smooth skin.
suggestion
Yeh mass aap 15 to 20 days use karain agar koi problem hai to aik din chor kar aik din use karain or duration 1 Month kar lain agar apki age 30 years se kam hai to wrinkles bohat jaldi remove ho jain gy agr apki age 30 years se zyada hai to apko yeh 2 to 3 Months use karna hoga.
Hum aap ke lia tarha tarha ke Beauty Tips lay kar aate rahte hain jaise ke "Rang Gora Karne Ka Tarika" "Beauty Tips for Face In Urdu Hindi Languages" Skin Whitening Tips Etc....
Is Post Ko Apne Doston Ke Sath Share Karain.
'Beauty Tips For Face At Home In Urdu Hindi'
'Beauty Tips For Face At Home In Urdu Hindi'
Note:- Agar aap ko koi Information chaey Beauty Tips ke hawaly se to aap humain comment kar ke hum se puch sakte hain.
0 Comments